aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha aaya jo mere samne mera ghurur tha tarik misl-e-ah jo aankhon ka nur tha kya subh hi se sham-e-bala ka zuhur tha wo the na mujh se dur na main un se dur tha aata na tha nazar to nazar ka qusur tha har waqt ek khumar tha har dam surur tha botal baghal mein thi ki dil-e-na-subur tha koi to dardmand-e-dil-e-na-subur tha mana ki tum na the koi tum sa zarur tha lagte hi thes tut gaya saz-e-arzu milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha aisa kahan bahaar mein ranginiyon ka josh shamil kisi ka khun-e-tamanna zarur tha saqi ki chashm-e-mast ka kya kijiye bayan itna surur tha ki mujhe bhi surur tha palti jo raste hi se ai aah-e-na-murad ye to bata ki bab-e-asar kitni dur tha jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya us dil mein ek chhupa hua nashtar zarur tha us chashm-e-mai-farosh se koi na bach saka sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surur tha dekha tha kal 'jigar' ko sar-e-rah-e-mai-kada is darja pi gaya tha ki nashshe mein chur tha