har harf-e-arzu pe kare tha wo yar bahas ek ek baat par thi use shab hazar bahas lae hai khinch aarzu-e-zakhm dur se kaho war par na qatil khanjar-guzar bahas hairat-zadon ko mahfil-e-taswir ki tarah ne hai shiar-e-ramz-o-kinaya na kar-e-bahas ya zikr-e-dost ya hai zaban par hadis-e-ishq jun ahl-e-madarsa nahin apna shiar bahas takrar se dil apna jo manga kaha ki chal milta hai koi ye na abas bar bar bahas kije agar gila to taraf-dar yar ho aap hi lagae mujh se dil-e-be-qarar bahas 'mamnun' mujhe nasihat-e-saib ye yaad hai ta sulh mumkin ast makun zinhaar bahas