aankhon ke aainon mein tawanai aaegi dekhega sabz khet to binai aaegi paega khushbuon se zaminon ke bhed bhi ek roz tere kaam shanasai aaegi pedon ki chhanw chhod kisi aab-e-ju pe baith tujh mein nahin to aks mein ranai aaegi duniya ki sair kar ke nikhar jaega khayal taza hawa lagegi to danai aaegi har naqsh aab-o-khak ka dil mein utar le fankar hai to taqat-e-goyai aaegi shair ki tarah dol raha hai khalaon mein logon mein baith anjuman-arai aaegi andhon ke is nagar mein diye ki misal ban sahra mein gul khulega to yaktai aaegi shaffaf paniyon ki tarah zindagi guzar suraj ki tarah tujh mein tawanai aaegi ghar mein diya jala ki lage bolta hua diwar-o-dar pe zinat-o-zebai aaegi saya bhi tera tujh ko kahin chhod jaega aai bhi tere kaam to tanhai aaegi garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko us ki gali se raat ko purwai aaegi kafi hai jo ghazal ke liye kah liya 'khalil' aage qadam rakhega to gahrai aaegi