hamare hath mein jab koi jam aaya hai to lab pe kitne hi pyason ka nam aaya hai kahan ka nur yahan raat ho gai gahri mera charagh andheron ke kaam aaya hai ye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai tamam umr kati us ki justuju karte bade dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai badhun to rakh banun mud chalun to pathra jaun safar mein shauq ke nazuk maqam aaya hai khabar bhi hai mere gulshan ke lala o gul ko mera lahu bhi bahaaron ke kaam aaya hai wo sar-phire jo nigah-dari-e-junun mein rahe 'surur' un mein hamara bhi nam aaya hai