aankhon ke gham-kadon mein ujale hue to hain buniyaad ek khwab ki dale hue to hain talwar gir gai hai zamin par to kya hua dastar apne sar pe sambhaale hue to hain ab dekhna hai aate hain kis samt se jawab hum ne kai sawal uchhaale hue to hain zakhmi hui hai ruh to kuchh gham nahin hamein hum apne doston ke hawale hue to hain go intizar-e-yar mein aankhen sulag uthin rahon mein dur dur ujale hue to hain hum qafile se bichhde hue hain magar 'nabil' ek rasta alag se nikale hue to hain