aaenge nazar subh ke aasar mein hum log baithe hain abhi parda-e-asrar mein hum log lae gae pahle to sar-e-dasht-e-ijazat mare gae phir wadi-e-inkar mein hum log ek manzar-e-hairat mein fana ho gain aankhen aae the kisi mausam-e-didar mein hum log har rang hamara hai, har ek rang mein hum hain taswir hue waqt ki raftar mein hum log ye khak-nashini hai bahut, zill-e-ilahi jachte hi nahin jubba-o-dastar mein hum log ab yun hai ki ek shakhs ka matam hai musalsal chunwae gae hijr ki diwar mein hum log sunte the ki bikte hain yahan khwab sunahre phirte hain tere shahr ke bazar mein hum log