aankhon ke kashkol shikasta ho jaenge sham ko din bhar chehre jama kiye hain kho jaenge sham ko sare ped safar mein honge aur gharon ke samne jitne ped hain utne sae lahraenge sham ko din ke shor mein shamil shayad koi tumhaari baat bhi ho aawazon ke uljhe dhage suljhaenge sham ko sham se pahle dard ki daulat maujen hain be-nam si dariyaon se mil ke dariya bal khaenge sham ko subh se aangan mein aandhi hai andhiyara hai dhul hai shayad aag churane wale ghar aaenge sham ko