tum jo aaoge to mausam dusra ho jaega lu ka jhonka bhi chalega to saba ho jaega zindagi mein qatl kar ke tujh ko nikla tha magar kya khabar thi phir tera hi samna ho jaega nafraton ne har taraf se gher rakkha hai hamein jab ye diwaren girengi rasta ho jaega aandhiyon ka kaam chalna hai gharaz is se nahin ped par patta rahega ya juda ho jaega kya khabar thi ai amir-e-shahr tere daur mein sans lena jurm jina hadsa ho jaega aap paida to karen dast-e-hunar phir dekhiye aap ke hathon mein patthar aaina ho jaega mere honton pe hansi aa kar rahegi ai 'ali' ek din ye waqia bhi dekhna ho jaega