aankhon ki takrar agar ho jae to dil par dil ka war agar ho jae to main to us ki prem pujaran hun lekin us ko mujh se pyar agar ho jae to duniya-dari sari dil ki badaulat hai socho dil bimar agar ho jae to darwaze ban jate hain diwaron mein darwaza diwar agar ho jae to mana apne honton ko si loge tum chehra hi akhbar agar ho jae to ghar se bahar ja kar jashn manaoge ghar mein hi tyauhaar agar ho jae to