ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho sukut-e-lab ko aakhir be-maani kyun samajhte ho ye mumkin hai yahin tak ho tumhaari tab-e-binai nazar ki had ko aakhir be-karani kyun samajhte ho agar sach hai tumhaari maut ka ek din muayyan hai to phir is tai-shuda ko na-gahani kyun samajhte ho yaqin rakkho samundar ki sakhawat par yaqin rakkho hamesha khali hath aaega pani kyun samajhte ho ye mumkin hai tumhaara aks hi barham ho chehre se ise tum aaine ki sargirani kyun samajhte ho mere ashaar mein jo dard ki shiddat hai meri hai mere ehsas ko apni kahani kyun samajhte ho yahan zahir ka chehra mukhtalif hota hai baatin se khili rangat ko dil ki shadmani kyun samajhte ho