aankhon ko ashk-bar kiya kya bura kiya yun gham ko aashkar kiya kya bura kiya ek umr intizar kiya kya bura kiya wade ka e'tibar kiya kya bura kiya jab wasl-e-yar zist ka unwan na ban saka gham ko gale ka haar kiya kya bura kiya sehn-e-chaman mein dhum hai fasl-e-bahaar ki daman ko tar tar kiya kya bura kiya aish-o-nishat se rahe mahrum umr-bhar tanhaiyon se pyar kiya kya bura kiya hum ne kisi ke husn-e-tabassum ko dekh kar qalb-o-jigar nisar kiya kya bura kiya dil lutne ke baad 'nazar' kah rahe hain wo han hum ne be-qarar kiya kya bura kiya