aankhon ko thi jo KHub se bhi KHub-tar talash

aankhon ko thi jo khub se bhi khub-tar talash
kar paya aaj tak na koi ham-safar talash

har aadmi hai zoam-e-qayaadat mein mubtala
kis se kahun ki mere liye rahbar talash

daste hain har qadam pe masail ke kale nag
ab aur dasht-e-shahr mein ajgar na kar talash

chehron ki bhid mein bhi jo pahchan le tujhe
bijli ke qahqahon mein na kar wo nazar talash

lafzon ke tir tarkash-e-lab mein rakhe hain sab
yaron ki aastin mein khanjar na kar talash

jal ke jo khak ho gai us ka na kar malal
kar le chaman mein dusri shakh-e-shajar talash

aata hai sab nazar magar aata nahin nazar
karte hain kuchh bahana mere chaaragar talash


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close