aankhon mein agar aap ki surat nahin hoti is dil mein mohabbat kisi surat nahin hoti jab tak pas-e-parda wo chhupe baithe rahenge kuchh bhi yahan ho jae qayamat nahin hoti dekhe jo tujhe log to samjhe mere ashaar lafzon se to sheron ki wazahat nahin hoti kya aur koi kaam kare chhodiye sahab bekari se duniya mein faraghat nahin hoti shahron ke tasawwur se bhi ghabrane laga dil sahra mein chale jao to wahshat nahin hoti us umr mein badh jate hain mehnat ke taqaze jis umr mein insan se mehnat nahin hoti hoti thi har ek baat pe hairat mujhe pahle ab mujh ko kisi baat pe hairat nahin hoti barbaad 'abad' hum ko murawwat ne kiya hai sab hota jo aankhon mein murawwat nahin hoti