jise tu ne samjha hai zindagi usi inqalab ka nam hai kabhi din hua kabhi shab hui kabhi subh hai kabhi sham hai tah-e-khak bhi dil-e-mubtala ko kabhi qarar na aaega hun abhi se hashr ka muntazir ki nawed jalwa-e-am hai koi hausla hai na muddaa koi aarzu hai na iltija mere dil mein ek teri yaad hai mere lab pe ek tera nam hai wahan wade hote hain aae din sar-e-sham khwab mein aaenge yahan iztirab-e-tamam se meri shab ki nind haram hai tu sharab de ki na de magar mere dil ko tod na saqiya ki gharib baada-parast ka yahi shisha hai yahi jam hai mere zauq-e-did ka ho bura kahan ja ke senke koi nazar na tajalli-e-sar-e-rah-guzar na tajalli-e-sar-e-baam hai meri qaid-e-zist ke sath hi hai ajal ki qaid lagi hui hun sarir mein wo asir-e-gham jo qafas mein bhi tah-e-dam hai