aankhon mein apni ashk-e-nadamat liye hue

aankhon mein apni ashk-e-nadamat liye hue
hum hain ajib rang-e-ibaadat liye hue

dozakh liye hue kahin jannat liye hue
har chiz hai wo hasb-e-zarurat liye hue

shauq-e-gunah kam hai na khauf-e-khuda hai kam
donon hi chaar din ki hain mohlat liye hue

baitho na yun ki panw se chhin jae ye zamin
sar par khada hai koi qayamat liye hue

afsos se gharaz na koi khauf hai use
wo aadmi hai kaisi karamat liye hue

hijrat koi dayar-e-haqiqat se kar gaya
khwabon ke shahr mein hai sukunat liye hue

main chahta tha us ko ijazat na dun magar
wo chal pada baghair ijazat liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close