bahte pani ki nishani aur hai thahre dariya ki rawani aur hai rakh-rakhaw khandani aur hai ho kuan gahra to pani aur hai din mein lagti raat-rani aur hai us ka sach us ki kahani aur hai sinchte hain khun-e-dil se hum unhen khwahishon ki baghbani aur hai do dinon ke ba'd ye hum par khula do dinon ki zindagani aur hai jo nahin marti kisi bhi maut se wo hayat-e-jawedani aur hai aasman ko kyon nahin kahte zamin us ki mitti to purani aur hai