aankhon mein chalta hua jism hai taswir nahin

aankhon mein chalta hua jism hai taswir nahin
aise manzar ki kahin koi bhi tadbir nahin

main nikalta nahin wahshat mein kabhi ghar se mere
main samajhta hun sarae ise zanjir nahin

kah to deti ho ki main pahli mohabbat hun teri
tere kahne mein magar zarra bhi tasir nahin

bas yahi soch ke sapnon ko sajaya na kabhi
mere sapnon ki yahan koi bhi tabir nahin

main agar chahun badal jaen ye haalat mere
dast-e-taqdir ke qabu mein ye taqdir nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close