zamin mein rah ke bhi ta-hadd-e-asman dekhun

zamin mein rah ke bhi ta-hadd-e-asman dekhun
mujhe to aa rahe ho tum nazar jahan dekhun

chala gaya hai bujha kar diya wo palkon ka
jahan thi raushni main us jagah dhuan dekhun

lagi hai aag ghazab nafraton ki duniya mein
dilon ke bich faqat aaj duriyan dekhun

tumhein to meri wafa bewafai lagti hai
main khubiyon mein bhi ab apni khamiyan dekhun

‘inayaten hain khuda ki kisi ne kya paya
karam hai us ka nihan ko bhi main ayan dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close