aankhon mein ek khwab pas-e-khwab aur hai ek mauj-e-tund-o-tez tah-e-ab aur hai un se bhi meri dosti un se bhi ranjishen sine mein ek halqa-e-ahbab aur hai shayad kabhi khule ye mere naghmagar pe bhi ye saz-e-jism aur hai mizrab aur hai chaliye kahin zamin ki kashish kuchh to kam hui khushki pe jism aur tah-e-ab aur hai phir aa na jae laut ke ye zalzala abhi jo aa ke tham gaya tha wo sailab aur hai is aaine pe gard ke chehre mita ke bhi mitti ka ek naqsh pas-e-ab aur hai itni siyah-raat mein itni si raushni ye chand wo nahin mera mahtab aur hai