apna saya dekh kar main be-tahasha dar gaya hu-ba-hu waisa laga jo mere hathon mar gaya halke se husn-e-tabassum ka bhi andaza hua bojh sare din ka le kar jab main apne ghar gaya phal lade us ped par phir pad gaya pahra kada pattiyon ko chumta jab san se ek patthar gaya kuchh makinon mein ajab tabdiliyan pai gain us badi building mein jab kuchh roz wo rah kar gaya tiliyon ki sakht-jaani aur meri jidd-o-jahd phir kahan parwaz ki khwahish rahe jab par gaya apni aazadi pe main ek chor ka mashkur hun pair jis chadar mein phailata tha wo le kar gaya