aankhon mein hain haqir jis-tis ke

aankhon mein hain haqir jis-tis ke
nazron se gir gae hain hum kis ke

dil ka hamdam ilaj mat kar ab
zakhm marham-pazir hain is ke

kaun aata hai aisa hosh-ruba
sabr o taqat yahan se kyun khiske

dekhti hai ye kis ki aankhon ko
kyun khule hain ye chashm nargis ke

bas kahin thak bhi aasiya-e-falak
ho chuke surma hum to ab pis ke

ji se rahte hain apne us pe nisar
dil se hote hain dost hum jis ke

go nahin ab kabhi to ai pyare
hum bhi the yar teri majlis ke

tu to khush hai ki tere kuche mein
ek tadpa kare aur ek siske

mar gae par bhi ye 'hasan' na munde
muntazir chashm the tere kis ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close