ehsas ka wasil-e-izhaar hai ghazal aaina-dar-e-nudrat-e-afkar hai ghazal urdu adab ko jis pe hamesha rahega naz izhaar-e-fikr-o-fan ka wo mear hai ghazal guldasta-e-adab ka gul-e-sar-sabd hai ye hain jis mein gul-ezar wo gulzar hai ghazal aati hai jis wasile se dil se zaban par khwabida hasraton ka wo izhaar hai ghazal urdu zaban dil hai ghazal us ki jaan hai nau-e-bashar ki munis-o-gham-khwar hai ghazal pahle hadis-e-dilbari kahte the is ko log ab tarjuman-e-kucha-o-bazar hai ghazal pesh-e-nazar agar ho 'wali'-dakkani ka tarz mashshata-e-arus-e-trahdar hai ghazal hai 'mir' o 'zauq' o 'ghaalib' o 'momin' ko jo aziz wo dil-nawaz jalwa-gah-e-yar hai ghazal 'barqi' ke fikr-o-fan ka muraqqa isi mein hai 'barq'-azmi se matla-e-anwar hai ghazal