aankhon mein hain jo khwab koi jaanta nahin is dil ka iztirab koi jaanta nahin hai apni apni pyas ka har ek ko khayal dariya bhi hai sarab koi jaanta nahin ye jaante hain log ki anjam kya hua kyon aaya inqalab koi jaanta nahin zarre ki raushni ko samajhte hain sab haqir hai wo bhi aaftab koi jaanta nahin ek hashr sa bapa hai anasir ke darmiyan kis mein hai kitni tab koi jaanta nahin dawa to apne ilm ka sab ko hai ai 'ziya' kya chiz hai kitab koi jaanta nahin