apne wahm-o-guman se nikla main andhere makan se nikla be-rukhi dekh ab zamane ki muddaa kyun zaban se nikla samt ka gham na tha safine ko ye alam baadban se nikla dhup barsa rahi thin talwaren phir bhi main saeban se nikla waqt mohlat na dega phir tum ko tir jis dam kaman se nikla aa gaya lijiye sahil-e-hasti main bade imtihan se nikla zindagi ka naya mizaj 'niyaz' dard ke khandan se nikla