aankhon mein jo basa tha wo kajal kahan gaya tha zabt jis ke dam se wo baadal kahan gaya hum jis ke sath shauq se nikle the sair ko wo ham-safar kahan hai wo jangal kahan gaya karta tha shahr mein jo mohabbat se guftugu malum hai kisi ko wo pagal kahan gaya maujen bhi us ke pas uthin nazm-o-zabt se sahil ki jaan tha jo wo dibal kahan gaya phaili hui thi jis ke taqaddus ki raushni aankhen talash mein hain wo aanchal kahan gaya 'bano' jo gham mila mujhe qismat se ab wahi le kar kisi ki yaad-e-musalsal kahan gaya