mere wajud mein the dur tak andhere bhi kahin kahin pe chhupe the magar sawere bhi nikal pade the to phir rah mein thaharte kya yun aas-pas kai ped the ghanere bhi ye shahr-e-sabz hai lekin bahut udas hue ghamon ki dhup mein jhulse hue the dere bhi hudud-e-shahr se bahar bhi bastiyan phailin simat ke rah gae yun jangalon ke ghere bhi samundaron ke ghazab ko gale lagae hue kate-phate the bahut dur tak jazire bhi