aankhon mein jo ek khwab sa hai aalam kya kya dikha raha hai aalam ek intizar ka hai khulta nahin intizar kya hai qatra qatra jo pi chuka hai dariya dariya pukarta hai kya kah gai zindagi ki aahat jo hai kisi soch mein khada hai ai mauj-e-nasim-e-subh-gahi har ghunche ka dil dhadak raha hai tum aur zara qarib aa jao khanjar rag-e-jaan tak aa gaya hai hai didani rang-e-ru-e-qatil har zakhm jawab mangta hai ai dasht-e-junun gawah rahna kante hain aur ek barahna-pa hai aasar achchhe nahin shab-e-hijr dil ko kuchh qarar sa hai lafzon ko zaban mil rahi hai shayad 'akhtar' ghazal-sara hai