be-chaargi-e-dosh hai aur bar-e-garan hai

be-chaargi-e-dosh hai aur bar-e-garan hai
izhaar pe pabandi hai aur munh mein zaban hai

hota hai yahan roz mere dard ka sauda
ai tegh-ba-kaf roz-e-mukafat kahan hai

aazad karo khun ko bazar mein lao
sadiyon se ye mahkum ragon hi mein rawan hai

han rang-e-bahaaran hai magar us ke lahu se
jo dast-ba-dil mohr-ba-lab dard-ba-jaan hai

har samt hai bazar khula hirs-o-hawas ka
har shahr mein har kuche mein waiz ki dukan hai

kal kis ko zaban band karoge zara socho
kal dekhoge hum ko ki zaban hai na dahan hai

kis shahr-e-khamoshan mein chale aae hain hum log
ne zor-e-sinan hai na kahin shor-e-fughan hai

har dard ki had hoti hai yun lagta hai jaise
is dard ka koi na zaman hai na makan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close