aankhon mein jo hamari ye jalon ke dagh hain ye to hamare apne khayalon ke dagh hain meri hatheliyon pe jo mehndi se rach gae ye aansuon mein bhige rumalon ke dagh hain bahar nikal ke jism se jaun to kis tarah sankal kahin kahin pe ye talon ke dagh hain tum jin ko kah rahe ho mere qadmon ke nishan wo sab to mere panw ke chhaalon ke dagh hain kajal mein ghul ke aur ziyaada nikhar gae ashkon ko ye na kahna khayalon ke dagh hain hal hote hote us ki natije pe aa gae jitne jawab hain wo sawalon ke dagh hain aate hi mere pas jo akasr chhalak pade honton pe mere aise hi pyalon ke dagh hain aise bhi log hain jo sitaron ko dekh kar kahte milen hain ye to ujalon ke dagh hain jo mujh mein dekhte hain mere bhi hain ai 'kunwar' kuchh un mein mujh ko dekhne walon ke dagh hain