aankhon mein khwab si hain yaaden zara zara si din par jhuki hui hain raaten zara zara si mausam badal gae hain sab shahr-e-arzu ke kya kar gain qayamat baaten zara zara si ye zindagi ki bazi bazigari nahin hai kya khel khelti hain maten zara zara si guzre hain karwan jab shadab manzilon se qadmon mein rah gai hain rahen zara zara si hai saqi-e-ufuq par baqi hisab din ka gulnar ho gai hain shamen zara zara si hota nahin nazar ko andaza-e-numu bhi phulon mein dab gai hain shakhen zara zara si un ke lahu mein utre kya rang aabru ka jo zindagi se rahat mangen zara zara si sanbhla nahin chaman se phir naghma-e-bahaaran sar se nikal gai hain tanen zara zara si shayad 'samad' kisi ne daman rakha hai lau par khulne lagin hawa ki bahen zara zara si