hum apni suraton se mumasil nahin rahe ek umr aaine ke muqabil nahin rahe majburiyan kuchh aur hi lahaq rahin hamein dil se tere khilaf to ai dil nahin rahe ab waqt ne padhaye to padhne pade tamam asbaq jo nisab mein shamil nahin rahe be-chehragi ka dukh bhi bahut hai magar ye ranj hum teri ek nigah ke qabil nahin rahe umr-e-rawan ke mod pe kuchh khwab mere khwab khoe gae hain aise ki ab mil nahin rahe apne liye hamein kabhi fursat na mil saki us ko gila ki hum use hasil nahin rahe kya raat thi ki shahr ki surat badal gai hum e'tibar-e-subh ke qabil nahin rahe