aankhon mein meri abr-e-rawan aur tarah ke dil mein bhi kai dasht-e-tapan aur tarah ke hain yas tere tir-o-kaman aur tarah ke lafzon ke sipar mere yahan aur tarah ke ahbab sunate hain koi aur kahani hain mere harifon ke bayan aur tarah ke ajdad wirasat mein ghutan chhod gae hain tamir karen ab ke makan aur tarah ke ye baat bahaaron pe hi mauquf nahin hai mausam hain mere sath jawan aur tarah ke tum apne ko kahte ho juda sab se alag sa aabshaar numayan hain kahan aur tarah ke ab shoala-e-khas ki bhi koi tab nahin hai allah mere bandh saman aur tarah ke andeshe mujhe gher na len kaise bhala ho guzre hain unhen bhi to guman aur tarah ke