buland himmat se aasman mein shigaf hum se nahin hua hai shikast ka bhi abhi talak e'tiraf hum se nahin hua hai ai bandagan-e-hawas abhi hum salamti jaan ki chahte hain faqir-e-gosha-nashin hain par etakaf hum se nahin hua hai larazte honton se phir dua ki qubuliyat ke hain muntazir hum ye ek sach hai qusur apna muaf hum se nahin hua hai kahan nigahon mein jal uthe hain bujhe talluq ke sare jugnu hamara gham munfarid hai ye inkishaf hum se nahin hua hai bayan dene ki ab zarurat hui hai mahsus to bolte hain gunah koi pas-e-naqab-o-ghilaf hum se nahin hua hai ghanim ki sharten puri sari hamare ahbab kar rahe hain jo gard thi aaine pe dil ke wo saf hum se nahin hua hai wirasat-e-zehn-o-dil ka phir masala koi hal-talab hai 'raunaq' abhi talak ek zahin bachcha khilaf hum se nahin hua hai