aankhon mein meri dard ka baadal nahin dekha sahra ko kabhi logon ne jal-thal nahin dekha bachpan se mere sar pe khadi dhup rahi hai main ne to kabhi pyar ka aanchal nahin dekha har shakhs ke chehre pe hain uljhan ki lakiren is ahd ke bachchon ko bhi chanchal nahin dekha biwi ki mohabbat ho ki yaadon ki rifaqat matlab se tahi main ne koi pal nahin dekha sach bol ke nuqsan uthata hai hamesha 'saifi' ki tarah koi bhi pagal nahin dekha