tujh ko ai mehr-e-jahan-tab khabar hai ki nahin zist ki shab meri muhtaj-e-sahar hai ki nahin kis liye khauf tujhe hai meri hamrahi mein rahbari mein meri mahfuz khizar hai ki nahin tu hi tanha nahin badnam-e-zamana ai dost bewafa teri tarah nau-e-bashar hai ki nahin kyon karun khud pe main pabandi-e-manzil aaed dasht phaila hua ta-hadd-e-nazar hai ki nahin aankh to tu ne nidar ho ke mila li thi magar tab se sharmai hui teri nazar hai ki nahin aql hairan hai aqdar ki tabdili par kal jo tha aib wahi aaj hunar hai ki nahin kyon wo hamsaegi-e-arsh pe nazan na rahe rifat-e-dar pe 'mansur' ka ghar hai ki nahin