aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya ai jalwa-e-mahbubi jab tera khayal aaya tha un ki tawajjoh mein har jazb-e-talab mera har chand moaddab thi jab mera sawal aaya is baat pe badli hai bas chashm-e-karam un ki ushshaq ke honton pe kyun harf-e-sawal aaya ya un ke hasin abru aae hain tasawwur mein ya mahfil-e-hasti mein rakhshanda hilal aaya hum sajda jahan kar len kaba wahin ban jae mit kar teri ulfat mein hum ko ye kamal aaya ab hashr-ba-daman hai har mahfil-e-tanhai tum aae to furqat ki azmat pe zawal aaya phir rang-e-junun barsa phulon ki qabaon par ye kaun gulistan mein aashufta nihaal aaya paigham-e-'fana' laya taskin-e-dil-e-muztar wo aa gae nazron mein jab waqt-e-visal aaya