garche banta nahin dhab sone ka jaanan se lipat ek din jaunga par us ke main daman se lipat ai falak tujh se tamanna hai ki is jade mein soiye garm ho is mehr-e-darakhshan se lipat baad muddat jo use sair-e-chaman mein dekha main gaya daud ke is sarw-khiraman se lipat baghban ne jo na di rifat-e-gul-gasht hamein but se ho rah gae diwar-e-gulistan se lipat 'mahir' us shokh ne jab tir nigah ka phenka us ke paikan rahe aah rag-e-jaan se lipat