aankhon mein saughat samete apne ghar aate hain bajre lage bandar-gah pe saudagar aate hain zard zabur tilawat karti hai taswir khizan ki ain-bahaar mein kaise kaise khwab nazar aate hain gandum aur gulabon jaise khwab shikasta karte dur-daraaz zaminon wale shahr mein dar aate hain shahzadi tujhe kaun batae tere charag-kade tak kitni mehraben padti hain kitne dar aate hain band-e-qaba-e-surkh ki manzil un par sahl hui hai jin hathon ko aag chura lene ke hunar aate hain