kuchh be-nam talluq jin ko nam achchha sa dene mein main to sari bikhar gai hun ghar ko ikattha rakhne mein daera manafi musbat ka to apni jagah mukammal hai koi barqi-rau dauda de is be-jaan se nate mein kaun ehsas ki lau bakhshega rukhe-phike manzar ko kaun piroega jazbon ke moti harf ke dhage mein aisa kya andher macha hai mere zakhm nahin bharte log to para para ho kar jud jate hain lamhe mein ranj ki ek be-mausam tahni dil se yun paiwasta hai puri shakh hari ho jae ek sira chhu lene mein upar se khamoshi odh ke phirte hain jo log wahi dhajji dhajji phirte hain andar ke pagal-khane mein sailabon ki ret se jis ko tu ne abas namnak kiya dhire bahta ek dariya ban us sahra ke sine mein barish ek pade to bahar aape se ho jati hai jis makhluq ne aankhen kholin dharti ke tah-khane mein