aankhon se ayan zakhm ki gahrai to ab hai ab aa bhi chuko waqt-e-masihai to ab hai pahle gham-e-furqat ke ye tewar to nahin the rag rag mein utarti hui tanhai to ab hai tari hai tamannaon pe sakraat ka aalam har sans rifaqat ki tamannai to ab hai kal tak meri wahshat se faqat tum hi the aagah har gam pe andesha-e-ruswai to ab hai kya jaane mahakti hui subhon mein koi dil shamon mein kisi dard ki ranai to ab hai dil-soz ye tare hain to jaan-soz ye mahtab dar-asal shab-e-anjuman-arai to ab hai saf-basta hain har mod pe kuchh sang-ba-kaf log ai zakhm-e-hunar lutf-e-pazirai to ab hai