bhul pae na tujhe aaj bhi rone wale tu kahan hai meri aankhon ko bhigone wale hum kisi ghair ke ho jaen ye mumkin hi nahin aur tum to kabhi apne nahin hone wale sochte hain ki kahan ja ke talashen un ko hum ko kuchh dost mile the kabhi khone wale ret ke jaisa hai ab to ye muqaddar mera khud bikhar jaenge ab mujh ko pirone wale dard aur ashk zamane mein azal se hain wahi sirf badle hain har ek daur mein rone wale ped ko apna hi saya nahin milta logo fasl apni kabhi pate nahin bone wale dard ghairon ka bhala kaun uthata hai 'sahab' sab yahan khud ki salibon ko hain dhone wale