aankhon se haya tapke hai andaz to dekho hai bul-hawason par bhi sitam naz to dekho us but ke liye main hawas-e-hur se guzra is ishq-e-khush-anjam ka aaghaz to dekho chashmak meri wahshat pe hai kya hazrat-e-naseh tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusun-saz to dekho arbab-e-hawas haar ke bhi jaan pe khele kam-talai-e-ashiq-e-jaan-baz to dekho majlis mein mere zikr ke aate hi uthe wo badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho mahfil mein tum aghyar ko duz-dida nazar se manzur hai pinhan na rahe raaz to dekho us ghairat-e-nahid ki har tan hai dipak shoala sa lapak jae hai aawaz to dekho den paki-e-daman ki gawahi mere aansu us yusuf-e-bedard ka eajaz to dekho jannat mein bhi 'momin' na mila hae buton se jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardaz to dekho
This is a great hurt shayari dp. Please share if you liked this!!!