aankhon se jin ki ashk nikalte nahin wo log rone lagen agar to sambhalte nahin wo log wo log jin se dard ka rishta tha ustuwar duniya badal gai hai badalte nahin wo log aabaad jin ke dam se hue koh aur dasht kya hota gar gharon se nikalte nahin wo log wo jin pe chadh gaya kabhi dard-o-alam ka rang bazm-e-tarab ke rang mein dhalte nahin wo log ushshaq par zamane ka ye jaur ye sitam hathon mein ek kali bhi masalte nahin wo log ahl-e-qalam se shah ko hai masala to ye qissa kahaniyon se bahalte nahin wo log