zakhm sine ka phir ubhar aaya yaad bhar koi chaara-gar aaya mujh ko bakhshi khuda ne ek beti chand aangan mein ek utar aaya khush nasibon ko ghar mila yaro mere hisse mein phir safar aaya tum taghayyur ki baat par thahre main salibon se baat kar aaya apni tahzib ko nahin chhoda ye bhi ilzam mere sar aaya ek kali khil ke phul mein badli ek bhanwra bhi phul par aaya par utra ufuq ke suraj to phir musafir ko yaad ghar aaya dosti dhup se hi kar li jab rah mein tab ghana shajar aaya dil to 'shayan' tutna hi tha us ka kirdar bhi nazar aaya