aankhon se pare nind ki raftar mein rahna har pal kisi na-did ke didar mein rahna kho jaana use dekh ke uryan ke safar mein chhute hi use hajla-e-asrar mein rahna ek khwab-e-darida ko rag-e-harf se sena phir le ke use kucha-o-bazar mein rahna khud apne ko hi dekh ke hairan sa hona nargis ki tarah mausam-e-bimar mein rahna marna yunhi abresham-o-kam-khwab hawas mein dam tod ke zinda kabhi diwar mein rahna hasrat si liye khilqat-e-masum mein phirna sazish ki tarah gardish-e-darbar mein rahna hai bakht sitaron ka un aankhon mein chamakna aur gul ka muqaddar lab-o-rukhsar mein rahna raunaq si liye shahar ke raston par bikharna tanhai ki surat dar-o-diwar mein rahna 'sarmad' tapish-e-nar-e-sukhan mein hun ki mujh ko gul karta raha shoala-o-angar mein rahna