guman-e-zakhm-e-tamanna tha ab talak mujh ko nahin hai dagh bhi dil mein na thi bhanak mujh ko chala gaya to kabhi laut kar nahin aaya pukarta raha aaina-e-falak mujh ko ab is ko dhundhta phirta hun shahr o dariya mein chala gaya wo dikha kar bas ek jhalak mujh ko nidhaal hun main gham-e-dil se hosh kab hai mujhe banae rakhti hai ek huk ek kasak mujh ko mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se bula rahi hai kisi lala ki mahak mujh ko naqab uttha to ek shoala sa bhadak uttha jala gai hai tere chehre ki jhamak mujh ko taras raha tha ujalon ko kab se main 'mamun' par andha kar gai suraj ki ek chamak mujh ko