aansu beche zaKHm KHaride aahon ko aadhaar kiya

aansu beche zakhm kharide aahon ko aadhaar kiya
pyar ke nam pe hum ne jag mein ghate ka byopar kiya

jis se nata tod chuke hain wo bhi jism hamara hai
wo bhi apna hi chehra hai jis se hum ne pyar kiya

kaise kaise jhut tarashe rishton ki sachchai ne
kitni dhundli rekhaon ko aankhon ne aakar kiya

dhire dhire har sargoshi sannaton mein dub gai
ab to ye bhi yaad nahin hai kis ne kya iqrar kiya

kyon andhi abhilasha bandhi sanson se nadani ne
aakhir kyon diwar-o-dar par rangon ne upkar kiya

sadiyon ki pyasi dharti par angare se ug aae
jis din meri sachchai se duniya ne inkar kiya

tabish-e-mehr-o-mah se jis din zulmat-e-fikr hui raushan
hum ne apne zauq-e-nazar ko waraq waraq tah-dar kiya

kambal odhe warna raaten gahre sapnon mein gum thin
bhala hua suraj ne aakar dharti ko bedar kiya

is ehsan ka badla shayad chuka na paun main 'parwaz'
dhajji dhajji kar ke dil ko jo mujh se bezar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close