zulf ke sanwarne mein der kitni lagti hai

zulf ke sanwarne mein der kitni lagti hai
aadmi ke marne mein der kitni lagti hai

aankh se bhala dil ka fasla hi kitna hai
sidhiyan utarne mein der kitni lagti hai

pattharon pe chalta hun kanch ka badan le kar
kirchiyan bikharne mein der kitni lagti hai

hai dua yahi meri baddua se bach jao
aah-e-sard bharne mein der kitni lagti hai

dafatan sarak jaana chehre se naqab us ka
chand ke ubharne mein der kitni lagti hai

phul si jawani hai shokhiyan nahin achchhi
pattiyan bikharne mein der kitni lagti hai

wo 'nasir' mera tha aaj raat se pahle
raat ke guzarne mein der kitni lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close