aansu bhi wahi karb ke sae bhi wahi hain hum gardish-e-dauran ke satae bhi wahi hain kya baat hai kyun shahr mein ab ji nahin lagta haalanki yahan apne parae bhi wahi hain auraq-e-dil-o-jaan pe jinhen tum ne likha hai naghmat-e-alam hum ne sunae bhi wahi hain ai josh-e-junun dard ka aalam bhi wahi hai ai wahshat-e-jaan dard ke sae bhi wahi hain dekha hai jinhen aah-ba-lab chaak-gareban har dagh-e-alam dil mein chhupae bhi wahi hain sau rang bikherenge mohabbat ke shagufe 'gulnar' chaman mein hamein lae bhi wahi hain