aansu ko apne dida-e-tar se nikalna

aansu ko apne dida-e-tar se nikalna
lagta hai mehman ko ghar se nikalna

sukhe hue shajar mein lahhu to nahin hai khushk
konpal koi numu ki shajar se nikalna

is yakh-zada faza mein gar udne ka qasd hai
be-his ruton ki barf ko par se nikalna

jis subh ke jilau mein shabon ka hujum ho
kirnon ko aise dam-e-sahar se nikalna

jis se shab-e-hayat ka sannata tut jae
aawaz aisi saz-e-hunar se nikalna

sab ka nahin ye ahl-e-basirat ka kaam hai
gahri khabar bhi sathi khabar se nikalna

rasta kathin ho lakh na hona 'hazin' malul
pahlu khushi ka ranj-e-safar se nikalna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close